BERNICE TRAVELS

Tuesday, May 31, 2016

HAJJ aur UMRAH ka BYAAN


Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai – Jabh Hazrat-e-Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal Kar Liye Tou Allah Ta’ala Ki Bargaah Me Marooza Kiye – ‘Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!’
Tabhi Allah Ta’ala Ne Hukm Farmaya – ‘Logon Mein Hajj Ka Ailaan Karo” Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.? Allah Ta’ala Ne Irshad Farmaya – ‘Aawaz Dena Tumhara Kaam Hai Aur Usey Pahuchana Humare Zimme Hai’. Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya – ‘Ilaahi Mai Kin Kalimaat Se Ailaan Karu.?’
Allah Ta’ala Ne Farmaya – Iss Tarah Karo ‘Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya Mu’azzaz Aur Mukkaram Ghar Kaabatullah Ka Hajj Tum Par Farz Kiya Gaya’. Toh Zameen Aur Aasmaan Ke Darmiyan Jitni Makhlooq Thi Sab Ne Aapki Aawaz Suni Yahi Wajah Hai Ke Tum Dekhte Ho Ke Hujjaj Zameen Ke Koney Koney Se Labbaik Labbaik Kehte Huwe Hajj Ke Liye Aate Hai.
– (Al Mustadrak Al Saheeheen Lil Haakim Hadees No 3421) • Note : Hajj Ek Maali Ibadat Hai Jo Tamaam Sahibe Nisab Musalamno Par Farz Hai, Lihaja Jo Hazraat Istehat Rakhte Hai Unka Apni Puri Zindagi Me Kum Se Kum Ek Baar Ka Hajj Lazmi Hai.
Ibne Abbas (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai”. – (Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih)
*Subhan’Allah !!! Gour Karne Wali Baat Hai Ke Ramzan Ka Umraah Hajj Ke Barabar Sawab Deta Hai,.. – Lekin Yaad Rahe Ye Hajj Ko Saaket Nahi Karta,.. – Hajj Ko Exceptional Nahi Kar Deta Ke Hajj Ke Badle Ab Hum Umrah Hi Karenge ,… – Aisa Bilkul Bhi Nahi Hai … Lekin Uske Barabar Azar Aur Sawab Deta Hai ,..
*Tou Allah Ne Jisko Maalo Daulat Ke Fazl Se Nawaza Ho – – Jarur Is Mahine Me Umrah Ki Koshish Karey,..
Hazrate Ali (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hain Ki, Huzoor-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Shakhs Raah Ke Kharch Aur Baitullah Sharif Tak Pahucha Dene Wali Sawaari Ka Kharch Ka Maalik Ho Aur Fir Usney Hajj Nahi Kiya Tou Uske Yahudi Ya Nasrani Ho Ker Marne Me Koi Fark Nahi Aur Yeh Isliye Ki Quraan Majid Me Hain Ki Allah-e-Ta’ala Ke Liye Baitullah Ka Hajj Karna Logon Per Farz Hain, Jab Ki Hajj Ke Saare Zaruri Kharch Ka Maalik Ho!” – (Tirmizi Sharif)
Hajj Aur Umrah …. » Hajj Ko Jaate Waqt Aa’ina, Surma, Kangha, Miswak Saath Rakkhein, Kyunki Yeh Sunnat Hai. – (Bahare Shariat)
» Mas’ala : Dikhawe Ke Liye Hajj Karna Aur Haraam Maal Se Hajj Ko Jaana Haraam Hai. – (Bahare Shariat, Jild-6, Page-719)
» Hajj Aur Umrah Karne Waale Allah Ta’ala Ke Mehmaan Hai Aur Agar Ye Allah Se Dua Kare Tou Allah Unki Dua Qubool Karta Hai. – (Ibn-e-Majah)
» Mas’ala : Jis Shakhs Par Hajj Farz Ho Chuka Ho Aur Usney Aada Nahi Kiya Tou Usey Hajj-e-Badli Ke Liye Bhejna Makruh-e-Tahrimi Hai. – (Bahare Shariat, Jild-6,Page-111)

1 comment:

  1. Haramayn Group have faith in perfection and that is the reason we are a standout amongst the most productive system helping businesses to develop in the quick universe of technology. Umrah and Hajj Travel Agents can get complete advantage from each system we are giving.

    ReplyDelete